PRIYANSHIII · 2026-10-29 · 2 helpful
Pehle opening sentence find kar, kyunki usse hi 20-25% para solve ho jaata hai. Fir however, therefore jaise words dekh, inse sentence ka flow samajh aata hai. Uske baad middle sentences ko connect karne ki try kar. Main task hota hai first aur last sentence find karna, fir beech ke sentences arrange karna. Aise practice karega toh easy lagega